Kachi Deewar Hoon
- Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basakar Na Giraana Mujko
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein Jo Mushkil Ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawaab Poora Jo Na Ho Woh Na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena,
Main To Aashiq Hoon Deewana Na Banana Mujko
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko