Such jhot ho jata ha Teri ankhon se zahir
Ksmen na utha itni safai na dia kr
Me janta hon k Tu rhta ha ub mujh se gureza
Pas aa k muhabt k dohai na dia kr
Ik bar jo ur jain to aate nhi hn wapis
Hr bar prindon ko rehai na dia kr.
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Aaj Jaane Ki Zid Na Karo
Yunhi Pehlu Mein Bethey Raho
Haaye Mar Jaayein Ge
Hum To Lutt Jaayein Ge
Aisi Baatein Kiya Na Karo
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo
Tumhi Socho Zara Kyu’n Na Rokein Tumhey
Jaan Jaati Hai Jab Uth Ke Jaatey Ho Tum
Tum Ko Apni Qasam Jaan-e-Jaa’n
Baat Itni Meri Maan Lo
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo
Waqt Ki Qaed Mein Zindagi Hai Magar
Chand Gharriya’n Yahi Hain Jo Aazaad Hain
Inko Khho Kar Kaheen Jaan-e-Jaa\’n
Umr Bhar Na Tarastey Raho
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo
Kitna Masoom Aur Rangeen Hai Yeh Sama
Husn Aur Ishq Ki Aaj Me\’raj Hai
Kal Ki Kis Ko Khabar Jaan-e-Jaa\’n
Rok Lo Aaj Ki Raat Ko
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo
Na janay dhundhtay Na janay dhundhtay kia ho meri weeraan ankhon main, Chupa rakhay hain ham nay to kai tufaan ankhon main, Tumhara zarf tha tumko mohabat yaad na ai . . . . . Jala teri mohabat ka dia har aan ankhon main, Kisi ka hath lay kar hath main jab tum milay ham say, To kaisay toot kar bikhra tha mera maan ankhon main, Na samjho chup hain to tum say koi shikwa nahi baqi, Ham apnay dard ki rakhtay nahi pahchan ankhon main