Tum chand ki manend tanha ho ye baat tumhay tarpa jaye.
Kuch khuwab saja kr palkoun pay
Tum chand say batein kr laina,
Hum yaad tumhay to kartay hain
tumYaad humain bhi ker laina.
Kuch bat na ho jb aisay he
num ankh Tumhari ho jaye,
Tum bat kahi per karty ho,
dil or Kahi per kho jaye.
Jazbat k aisay alam main
Muskan laboun par bhar laina,
Hum yaad tumhe to krtay hain,
Tum yaad humain bhi kr lena..
Dard Ki Chadrein Meri Ghazlon Ko Dhanp Leti Hain
Mujh Se Sheron Mein Naye Rang Dikhae Nahi Jate
Be’basi Badh Ke Meri Ankhon Mein Utar Aati Hai
Meri Hansi Se Mere Aansu Chupaae Nahi Jaate
Teri Tehreeron Se Aati Hai Tere Haathon Ki Mehak
Be’wafaa Mujh Se Tere Khat Jalae Nahi Jaate
Wafaa Ki Raahon Mein Bujhne Ke Baad Ye Jaana Hai
Sar-e-Hawa Diye Mohabbat Ke Sajae Nahi Jaate
Ay Mere Khuda Taqdeer Ko Itna To Bataya Hota
Dukhon Ke Pahaad Insano Pe Giraye Nahi Jaate
Ajab Apna Haal Hota Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota,
Kabhi Jaan Sadke Hoti, Kabhi Dil Nisaar Hota.
Na Mazaa Hai Dushmani Mein, Na Hai Lutf Dosti Mein,
Koi Ghair Ghair Hota, Koi Yaar Yaar Hota.
Ye Mazaa Tha Dillagi Ka, Ke Barabar Aag Lagti,
Na Tumhe Qaraar Hota, Na Hume Qaraar Hota.
Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Ka Hume Aitabaar Hota.
Kachi Deewar Hoon Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basakar Na Giraana Mujko
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein Jo Mushkil Ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawaab Poora Jo Na Ho Woh Na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena,
Main To Aashiq Hoon Deewana Na Banana Mujko
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Nikalataa Aa Rahaa Sarakatii Jaaye Hai RuKh Se Naqaab Aahistaa Aahistaa
Nikalataa Aa Rahaa Hai Aaftaab Aahistaa Aahistaa
Jawaan Hone Lage Jab Vo To Hum Se Kar Liyaa Pardaa
Hayaa YakalaKht Aayii Aur Shabaab Aahistaa Aahistaa
Shab-e-Furkat Kaa Jaagaa HuuN Farishton Ab To Sone Do
Kabhii Fursat Men Kar Lenaa Hisaab Aahistaa Aahistaa
Savaal-e-Vasl Par Unako Aduu Kaa Khauf Hai Itanaa
Dabe Hontoon Se Dete Hain Jawaab Aahistaa Aahistaa
Hamaare Aur Tumhaare Pyar Men Bas Fark Hai Itanaa
Idhar To Jaldii Jaldii Hai Udhar Aahistaa Aahistaa
Wo Bedardii Se Sar KaaTe “Ameer” Aur Main KahuuN Un Se
Huzuur Aahistaa Aahistaa, Janaab Aahistaa Aahistaa
Dhoop Hai Kya Dhoop Hai Kya Aur Saaya Kya Hai Ab Malum Hua,
Ye Sab Kheal Tamasha Kya Hai Ab Malum Hua,
Hansty Phool Kaa Chehra Dekhun Aur Bhar Aayi Aankh,
Apny Saath Ye Kissa Kya Hai Ab Malum Hua,
Hum Barason Ky Baad Bhi Unko Ab Tak Bhool Na Paay,
Dil Sy Unka Rishta Kya Hai Ab Malum Hua,
Sahara Sahara Pyaasy Bhataky Saari Umar Jaly,
Baadal Ka Ek Tukra Kya Hai Ab Malum Hua..!!!
Na janay dhundhtay Na janay dhundhtay kia ho meri weeraan ankhon main, Chupa rakhay hain ham nay to kai tufaan ankhon main, Tumhara zarf tha tumko mohabat yaad na ai . . . . . Jala teri mohabat ka dia har aan ankhon main, Kisi ka hath lay kar hath main jab tum milay ham say, To kaisay toot kar bikhra tha mera maan ankhon main, Na samjho chup hain to tum say koi shikwa nahi baqi, Ham apnay dard ki rakhtay nahi pahchan ankhon main
You make me feel so right You make me feel so right, every day n every night. Let me tell you how much I love you, from the moment I saw your face I never ever thought about you being replaced.